gham-e-hayat ka yun bhi kabhi sila mil jae

gham-e-hayat ka yun bhi kabhi sila mil jae
talash aag ki thahre magar khuda mil jae

ajib baat hai jab us ko bhulna chahun
wo zehn-o-dil ke darichon se jhankta mil jae

muqable mein khade hain hazar-ha firaun
khuda kare ki mujhe bhi koi asa mil jae

amal hi hai mera iman-e-zindagi yaro
khangalta hun samundar na jaane kya mil jae

mujhe bhi aag ka dariya ubur karna hai
utha do aankh ki mujh ko bhi hausla mil jae

wo reg-zar jahan par khirad ke panw jalen
junun hamara wahan bhi barahna-pa mil jae

milega ja ke samundar se fikr ka dariya
chatanen kat raha hai ki rasta mil jae

ik-ek dar pe sada de raha hun ai 'mehdi'
koi to khwabon ki basti mein jagta mil jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close