duniya se alag hum ne maikhane ka dar dekha maikhane ka dar dekha allah ka ghar dekha goshe se nasheman ke aahon ka asar dekha sayyaad ka ghar jalte be-barq-o-sharar dekha donon ke maze lute donon ka asar dekha allah ka ghar dekha maikhane ka dar dekha yun hashr mein sairen kin firdaus-o-jahannam ki kuchh der udhar dekha kuchh der udhar dekha ai shaikh wo kaba ho ya ho dar-e-mai-khana tu ne mujhe jab dekha sajde hi mein sar dekha nala hamein karna tha dam ishq ka bharna tha sau rang se marna tha har rang se mar dekha jab mauj ubharti hai kahti hai wo shokhi se bazu mein bat-e-mai ke surkhab ka par dekha tanke diye jate hain kyun lab siye jate hain hansne ka maza tu ne ai zakhm-e-jigar dekha nisbat nahin mujh ko kuchh bekas ke bujhe dil se bujhte hue tujh ko bhi aae sham-e-sahar dekha sahme hue baithe hain khoe hue baithe hain jis raat ke arman the us raat ko dar dekha phal phul nahin late ye bagh-e-mohabbat mein har nakhl-e-tamanna ko be-barg-o-samar dekha kabe mein nazar aae jo subh azan dete maikhane mein raaton ko un ka bhi guzar dekha kuchh kaam nahin mai se go ishq hai us shai se main rind 'riyaz' aise daman bhi na tar dekha