kahan ki gunj dil-e-na-tawan mein rahti hai ki tharthari si ajab jism-o-jaan mein rahti hai qadam qadam pe wahi chashm o lab wahi gesu tamam umr nazar imtihan mein rahti hai maza to ye hai ki wo khud to hai nae ghar mein aur us ki yaad purane makan mein rahti hai pata to fasl-e-gul-o-lala ka nahin malum suna hai qurb-o-jawar-e-khizan mein rahti hai main kitna wahm karun lekin ek shua-e-yaqin kahin nawah-e-dil-e-bad-guman mein rahti hai hazar jaan khapata rahun magar phir bhi kami si kuchh mere tarz-e-bayan mein rahti hai