hamare haal se ghabra ke mat kinara kar

hamare haal se ghabra ke mat kinara kar
tu chaaragar hai agar waqai to chaara kar

kahin khushi se meri dhadkanen na tham jaen
tu mujh ko itni mohabbat se mat pukara kar

masarraten tere ghar se kabhi na ruthengi
zara gharib ke bachchon ko bhi dulara kar

talluqat mein apni hi zid nahin chalti
tu doston ki bhi khushiyan kabhi gawara kar

junun se kaam liya jis ne pa gaya wo murad
tu ghar mein baith kar andaza-e-khasara kar

liyaqaten to hamesha adab sikhati hain
badon ke samne mat shaikhiyan baghaara kar

tu chahta hai agar sabr-o-shukr ki daulat
faqir logon ki sohbat mein din guzara kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close