duniya se kaun jata hai apni khushi ke sath wabasta ho agar na azal zindagi ke sath bas itni rasm-o-rah hai is zindagi ke sath ek ajnabi safar mein mila ajnabi ke sath yun dushmani bhi chalti hai ab dosti ke sath jaise andhera rahta hai har raushni ke sath mil jae mujh ko khak jo qadmon ki aap ke dil kya hai main to jaan bhi de dun khushi ke sath kya tujh ko khauf hashr mein purshish ka 'intizar' tera to hashr hoga muhibb-e-'ali' ke sath