shikayat hai bahut lekin gila achchha nahin lagta dilon ki baat hai kam hausla achchha nahin lagta nami aaankhon mein soz-e-dil ka unwan-e-takallum hai magar khamosh ashkon ka sila achchha nahin lagta idhar aana na jaana hi adhar gum-karda rahi hai tazabzub ka mujhe ye marhala achchha nahin lagta masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai kisi bhi ek shai ka silsila achchha nahin lagta bura lagta hai hum ko ek tanasub ka bigad jaana kuchh aise log hain jin ko bhula achchha nahin lagta 'atiq' aisa bhi jina koi jina hai bhala aakhir na howe jis mein josh-o-walwala achchha nahin lagta