kya bataen kya kal shab aakhiri pahar dekha kar-gah-e-gardun par chand ka safar dekha jalwa-gah-e-hasti mein husn jalwa-gar dekha hae ham-nafas mat puchh kab kahan kidhar dekha aah wo shab-e-pur-nam uf wo nur ki mahfil darmiyan sitaron ke jalwa-e-qamar dekha us jamal-e-uryan ko sirf ek nazar dekha phir wahi nazar aaya jab jahan jidhar dekha hae ai mujassam husn rashk-e-nur-o-tabani tu ne mere khirman ko khub phunk kar dekha shab dhali to ai 'salim' mah nasheb mein utra ek chakor ko dekha aur ba-chashm-e-tar dekha