duniya se tan ko dhanp qayamat se jaan ko do chadaren bahut hain teri aan-ban ko ek main hi rah gaya hun kiye sar ko bar-e-dosh kya puchhte ho bhai mere khandan ko jis din se apne chaak-e-gareban ka shor hai tale laga gae hain rafugar dukan ko filhaal dil pe dil to liye ja rahe ho tum aur jo hisab bhul gaya kal-kalan ko dil mein se chun ke hum bhi koi ghuncha ai nasim bhejenge tere hath kabhi gulsitan ko mashghul hain safai-o-tausi-e-dil mein hum tangi na is makan mein ho mehman ko