mere guman ki had se nikalne wala tha wo mujh se pahle hi rasta badalne wala tha tujhe hi jaane ki ujlat thi ai musafir-e-man wagarna main bhi tere sath chalne wala tha jahan pe qafila-e-salar thak ke baith gaya wahin se ek naya rasta nikalne wala tha nahin thi mujh ko zarurat kisi sahaare ki ki main to aap hi gir kar sambhalne wala tha main laut aaya samundar se dar ke jab 'faizan' usi ghadi wo khazana ugalne wala tha