fikr hi thahri to dil ko fikr-e-khuban kyun na ho khak hona hai to khak-e-ku-e-jaanan kyun na ho dahr mein ai khwaja thahri jab asiri na-guzir dil asir-e-halqa-e-gesu-e-pechan kyun na ho zist hai jab mustaqil aawaragardi hi ka nam aql walo phir tawaf-e-ku-e-jaanan kyun na ho jab nahin masturiyon mein bhi gunahon se najat dil khule bandon ghariq-e-bahr-e-isyan kyun na ho ek na ek hangame par mauquf hai jab zindagi mai-kade mein rind raqsan o ghazal-khwan kyun na ho jab khush o na-khush kisi ke hath mein dena hai hath ham-nashin phir baiat-e-jam-e-zar-afshan kyun na ho jab bashar ki dastaras se dur hai hablul-matin dasht-e-wahshat mein phir ek kafir ka daman kyun na ho ek hai jab shor-e-jahl o bang-e-hikmat ka maal dil halak-e-zauq-e-gulbang-e-pareshan kyun na ho ek na ek rifat ke aage sajda lazim hai to phir aadmi mahw-e-sujud-e-sarw-e-khuban kyun na ho ek na ek phande hi mein phansna hai jab insan ko dosh par dam-e-siyah-e-sumbulistan kyun na ho jab farebon mein hi rahna hai to ai ahl-e-khirad lazzat-e-paiman bar-e-sust-paiman kyun na ho yan jab aawezish hi thahri hai to zarre chhod kar aadmi khurshid se dast-o-gareban kyun na ho ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh' zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho