hai raushni mera azm-o-yaqin chala aaya sitara hun main bara-e-zamin chala aaya main sab se qimti khilqat khuda-e-qudrat ki mera jawaz hai yunhi nahin chala aaya hai meri aah mere qahqahon ki aahat mein aza-e-zist mein khanda-jabin chala aaya bisat-e-daman-e-sad-chaak teri qismat hai tere visal ko aisa nagin chala aaya ajab ghazab hai ki dil dhundne laga khud ko idhar jo aaj wahi dil-nashin chala aaya zamin se dad-rasi ki umid tut chuki so nala jaanib-e-arsh-e-barin chala aaya khayal tha ki mere doston ki mahfil hai so dosto ye hua main yahin chala aaya har ek waqt hai us ka har ek sur komal ghazal mein ban ke wo ek bhairwin chala aaya ye kah ke gor bhi mujh par kushada hone lagi khush-amdid ki mera makin chala aaya ab ehtiyat se matlab nahin ‘ali-yasir’ ki samne wo mera nukta-chin chala aaya