dur tha sahil bahut dariya bhi tughyani mein tha ek shikasta-naw sa main tez-rau pani mein tha mujh se milne koi aata bhi to milta kis tarah main to ghar mein band khud apni nigahbani mein tha aadamiyat ke ewaz us ne kharida hai libas aadmi tha aadmi jab ahd-e-uryani mein tha hai club ke rang-o-ramish mein bhi mere sath sath ek sannata jo dil ki khana-virani mein tha tha wo mere khair-maqdam ko ba-zahir pesh pesh aks-e-digar lekin us ki khanda-peshani mein tha maqtal-e-sham-o-sahar mein kya panapti zindagi shabnamistan honkte shoalon ki nigarani mein tha mausam-e-gul bhi junun-parwar tha lekin beshtar maslahat ka hath meri chaak-damani mein tha 'sabir' us manzar ki mowie le raha tha ek shakhs shakh par ek aashiyan shoalon ki tabani mein tha