dur main ho gaya tujh se ki nibhana na pade is liye joda nahin kuchh ki ghatana na pade log kahte hain mujhe is liye tanhai-pasand mujh se pagal ko kahin pas bithana na pade chahta ye hun koi bich ka rasta nikle main tere sath rahun us ko bhulana na pade baat to tab hai madari ki tamashe mein tere dil bahal jae koi ashk bahana na pade us ki galiyon mein wo wahshat hai agar dekhe to tujh ko sahra mein kisi taur bhi jaana na pade