palat ke aankh ke pardon pe sar jhukate hon hum aise khwab nahin hain jo aate jate hon guzarti raat ke pairon mein kanch ke tare ajab nahin jo kisi aankh mein samate hon badan ko chirti barish ho aur aise mein hum apne rang liye khak-dan sajate hon zamin ko ghaur se dekhun to khauf aata hai ki jaise log yahan aasman banate hon