dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai aankh kya shai hai kahan ja ke nazar rakhti hai aur kuchh roz abhi sur na phunka jae us ke darbar mein duniya abhi sar rakhti hai log manzil pe bahut khush hain magar manzil bhi lamha lamha pas-e-imkan-e-safar rakhti hai aao us shakhs ki rudad sunen ghaur karen surkh-rui bhi jise khak-basar rakhti hai ye zehanat jo wirasat ki ata hai 'shahid' koi diwar uthati hai to dar rakhti hai