har bar hua hai jo wahi to nahin hoga dar jis ka satata hai abhi to nahin hoga duniya ko chalo parkhen nae dost banaen har shakhs zamane mein wahi to nahin hoga wo shakhs bada hai to ghalat ho nahin sakta duniya ko bharosa ye abhi to nahin hoga hai us ka ishaara bhi samajhne ki zarurat hoga to kabhi hoga abhi to nahin hoga do-chaar gade murde ukhadenge kisi roz har bar naya jhagda kabhi to nahin hoga kuchh aur bhi ho sakta hai taqrir ka matlab jo aap ne samjha hai wahi to nahin hoga har bar zamane ka sitam hoga mujhi par han main hi badal jaun kabhi to nahin hoga