sarak rahi hai us ki chilman masha-allah masha-allah shayad ab wo dega darshan masha-allah masha-allah garaj raha hai baadal ghan-ghan masha-allah masha-allah bajti hai us ki pael jhan-jhan masha-allah masha-allah baras raha hai pyar ka sawan masha-allah masha-allah dol raha hai jis se tan-man masha-allah masha-allah chalta phirta hai mai-khana jis ki ye chashm-e-masatana us ki surahi-dar hai gardan masha-allah masha-allah apne hi husn pe jaise ho shaida dekh raha hai jalwa-e-zeba samne rakh kar apne darpan masha-allah masha-allah mor ka raqs use nahin bhata apni chaal pe hai itraata nach na jaane tedha aangan masha-allah masha-allah ghuncha-o-gul ki hai ye zaban par sab hi fida us sarw-e-rawan par zikr hai us ka gulshan gulshan masha-allah masha-allah 'barqi' hai jis ka diwana ho ke fida misl-e-parwana mar na dale us ki chitwan masha-allah masha-allah