dur se hum ko laga tha be-zaban aab-e-rawan

dur se hum ko laga tha be-zaban aab-e-rawan
agle hi pal tha sadaon ka jahan aab-e-rawan

ek suhani sham ke rangon ke ghere mein kahin
main meri tanhai yaad-e-raftagan aab-e-rawan

shakh se phulon ko khincha un ke apne aks ne
jaane ab le jaega un ko kahan aab-e-rawan

main bhi rahi hun mujhe apne safar ka raaz de
kis ki khatir ye talash-e-jawidan aab-e-rawan

ai safar ki rau mujhe dam-bhar ki fursat chahiye
ek lamhe ke liye ruk ja yahan aab-e-rawan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close