uthiye to kahan jaiye jo kuchh hai yahin hai bahar tere ghar ke to na duniya hai na din hai hum hain ki sar-e-naqsh-e-qadam saikdon sajde wo hai ki jahan dekhiye bas chin-ba-jabin hai sahra mein phiraati hai mujhe khana-kharabi ye dhund raha hun ki mera ghar bhi yahin hai aati nahin nazdik khayalon ke ye duniya wo bazm bhi ya rab koi firdaus-e-barin hai ta hadd-e-takhayyul faqat ek jalwa hai ya dil duniya mein hamari na falak hai na zamin hai ji bhar ke zara dekh to len husn ke jalwe phir kis ko unhen chhod ke jine ka yaqin hai wo dard-e-darun jism mein yun phail gaya hai padta hai jahan hath samajhta hun yahin hai rahta hun 'suha' ahl-e-haram mein bhi numayan hote hain ishaare ye kharabaat-nashin hai