mujhe wo kunj-e-tanhai se aakhir kab nikalega akele-pan ka ye ehsas mujh ko mar dalega kisi ko kya padi hai meri khatir khud ko zahmat de pareshan hain sabhi kaise koi mujh ko sambhaalega abhi tarikh nami ek jadugar ko aana hai jo zinda shahr aur ajsam ko patthar mein dhaalega bas agle mod par manzil teri aane hi wali hai mere ai ham-safar tu kitna mera dukh bata lega sharik-e-ranj kya karna use taklif kya deni ki jitni der baithega wahi baaten nikalega riha kar de qafas ki qaid se ghayal parinde ko kisi ke dard ko is dil mein kitne sal palega