jaane kis baat se dukha hai bahut dil kai roz se khafa hai bahut sab sitare dilasa dete hain chand raaton ko chikhta hai bahut phir wahi raat mujh mein thahri hai phir samaat mein shor sa hai bahut tum zamane ki baat karte ho mera mujh se bhi fasla hai bahut us ki dukhti nasen na phat jaen dil musalsal ye sochta hai bahut wasta kuchh zarur hai tum se tum ko wo shakhs puchhta hai bahut tum se bichhda to tut jaega us ki aankhon mein hausla hai bahut chakh ke dekho ise kabhi tum bhi is udasi mein zaiqa hai bahut in ki sansen gini-chuni hain bas khun lamhon ka bah gaya hai bahut dasht ko kar liya tha ghar main ne ab mujhe ghar ye katta hai bahut is se bahar nikal na paoge dasht mazi ka ye ghana hai bahut mera sukh dukh samajhti hain ghazlen zindagi ko ye aasra hai bahut