hadd-e-sitam na kar ki zamana kharab hai zalim khuda se dar ki zamana kharab hai itna na ban-sanwar ki zamana kharab hai maili nazar se dar ki zamana kharab hai bahna padega waqt ke dhaare ke sath sath ban us ka ham-safar ki zamana kharab hai phislan qadam qadam pe hai bazar-e-shauq mein chal dekh-bhaal kar ki zamana kharab hai kuchh un pe ghaur kar jo taqaze hain waqt ke un se nibah kar ki zamana kharab hai aa gharq-e-jam kar den mile hain jo ranj-o-gham paimana mera bhar ki zamana kharab hai gar be-thikana hain to nahin sharmsar hum ab kya banaen ghar ki zamana kharab hai mehnat shuur tajraba talim-o-tarbiyat sab kuchh hai be-asar ki zamana kharab hai do rotiyan nahin na sahi ek hi sahi is par hi sabr kar ki zamana kharab hai