hayat kya hai maal-e-hayat kya hoga tu is pe ghaur karega to gham-zada hoga sambhal sambhal ke jo yun pattharon pe chalta hai zarur us ki hifazat mein aaina hoga jo kah raha ki nind ud gai hai aankhon se ye shakhs pahle bahut khwab dekhta hoga suna kiya jo mera haal is tawajjoh se wo ajnabi bhi kisi gham mein mubtala hoga kisi ke rabt-o-tashshuq pe itna naz na kar hina ka rang hai do roz mein hawa hoga jawan hota to pagal hawa se ladta bhi darakht tha wo purana ukhad gaya hoga ye khisht khisht bikharta hua khandar 'sabir' kabhi na jaane ye kis ka mahal-sara hoga