duriyan sari simat kar rah gain aisa laga mund li jab aankh to sine se koi aa laga kis qadar apnaiyat us ajnabi basti mein thi go ki har chehra tha begana magar apna laga pas se ho kar jo wo jata to khush hote magar us ka katra kar guzarna bhi hamein achchha laga us ghadi kya kaifiyat dil ki thi kuchh hum bhi sunen tu ne pahli bar jab dekha hamein kaisa laga jis qadar gunjaan aabaadi thi us ke shahr ki jaane kyun har shakhs hum ko is qadar tanha laga jism ka aatish-kada le kar to pahunche the wahan hath jab us ka chhua to barf se thanda laga jab kisi shirin-dahan se guftugu ki ai 'qamar' apna lahja bhi hamein us ki tarah mitha laga