tamam umr ki tanhaiyon pe bhaari thi wo ek sham tere sath jo guzari thi ufuq pe likhta raha aaftab tahriren magar bayaz-e-zamin raushni se aari thi safir-e-subh ki aahat pe ho gai bedar ghunudgi mein jo khwabida shab-khumari thi usi ne kar diya paiwast pith mein khanjar wo shakhs jis ki rifaqat se pith bhaari thi dil-o-dimagh ne phir hashiye tarash liye kai dinon se tabiat mein na-gawari thi jo baat tark-e-talluq ke mod tak pahunchi khata tumhaari nahin thi khata hamari thi jawab de diye 'salim' hayat ne mujh ko magar sawaliya ek ek jawab-dari thi