dushman-e-jaan bana guman apna khatm kar dega ye jahan apna sare dawe hue ghalat sabit jal gaya pal mein hi makan apna hum ne bhi us ko aazmaya tha wo bhi to lega imtihan apna laeq-e-eatibar hi kab tha wo badal dega phir bayan apna hum nikal kar safar pe dekhenge din guzarta hai phir kahan apna raaz jalne ka kar diya afshan dil se uthta hua dhuan apna gharq kashti na ho kahin ja kar chhuta jata hai baadban apna