us se baaton mein na uljha kijiye

us se baaton mein na uljha kijiye
kyon kisi aafat ka sauda kijiye

dafn hain sachchaiyan chaaron taraf
aap khamoshi se nikla kijiye

guzre lamhon se bhi milta hai sabaq
yaad-e-mazi ko tatola kijiye

kitna gahra hai samundar dekhiye
aur phir daman bhigoya kijiye

jo gunah ke raston par chal pade
us ko rah-e-haq dikhaya kijiye

hai tere mahbub ki mehndi ka rang
is ko aankhon se lagaya kijiye

kar ke chehre par raqam sachchaiyan
aaina phir aap dekha kijiye

roz mil kar bhi nahin pahchante
aashnai ka na dawa kijiye

lab pe ho shukr-e-khuda har haal mein
zindagi ko yun guzara kijiye

aap se jo tut kar milta na ho
us se milne ki tamanna kijiye

gunguna kar aap ye meri ghazal
ek shair ko na ruswa kijiye

khauf hai jo tund jhonkon ka 'said'
mat charaghon ko jalaya kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close