use bhi laut kar aana nahin tha wo jis ke samne rasta nahin tha usi ke khwab dekhe ja rahe the jise hum ne kabhi dekha nahin tha hamara zahir-o-baatin mukammal kisi ke ishq mein duba nahin tha isi ummid par zinda the ab tak masiha laut kar aaya nahin tha saron ki bhid thi hadd-e-nazar tak magar un mein koi zinda nahin tha ghane pedon ki majburi to dekho kahin bhi dur tak saya nahin tha