karun kis se fariyaad kya ho gaya mera yar mujh se juda ho gaya karen kya ki dil hath se ja chuka jo hona muqaddar mein tha ho gaya mara jo gham-e-hijr mein wo jiya ki zindan-e-gham se riha ho gaya mere samne ghair se ikhtilat murawwat ka bas khatma ho gaya kahun ishq-e-parwana kya shama se wo raushan rahi khud fana ho gaya 'haqir' aage pita tha mai khum ke khum main sunta hun ab parsa ho gaya