naw tuti hui biphra hua dariya dekha ahl-e-himmat ne magar phir bhi kinara dekha garche har chiz yahan hum ne buri hi dekhi phir bhi kahna pada jo dekha so achchha dekha dip se dip jalane ki hui rasm tamam hum ne insan ka insan se jalna dekha jab se bachche ne khilaune se bahalna chhoda das baras mein hi use tis ke sin ka dekha raij-ul-waqt hain bazar mein khote sikke jo khare hain unhen hote hue ruswa dekha hosh mein aaenge arbab-e-watan kab 'anjum' main ne har-gam pe kashmir ka khitta dekha