ehsas-e-gham-e-ishq ka hasil nahin hota wo dard ke jo ruh mein shamil nahin hota ai zauq-e-nazar bhul bhi ja zauq-e-nazar ko afsana kabhi zist ka hasil nahin hota ai dost wafa-saz-e-mohabbat ki nazar mein bigdi ko bana lena to mushkil nahin hota manzil to badi chiz hai rahen nahin miltin jab shauq-e-talab rahbar-e-manzil nahin hota aksar meri aankhon ne bhi izhaar kiya hai lekin unhen ehsas-e-gham-e-dil nahin hota tufan ki aaghosh mein ghar dhundne wala mamnun-e-tunak-zarfi-e-sahil nahin hota 'basit' wo diya karte hain taskin to lekin ek lafz bhi taskin ke qabil nahin hota