husn ke ghamze bhi dekhe hain sitam dekhe hain dil pe jo kuchh bhi hue hain wo karam dekhe hain ahl-e-dil ne jinhen aasar-e-qayamat samjha hum ne aankhon se wahi naqsh-e-qadam dekhe hain apne hi pujne walon ko jo dete hain saza mabad-e-ishq mein aise bhi sanam dekhe hain tujh ko malum nahin gardish-e-dauran hum ne baz-auqat qayamat ke qadam dekhe hain un ki mastana-khirami ke jilau mein hum ne aish dekhe hain kabhi aur kabhi gham dekhe hain kya mohabbat ke haqaeq ka pata den tum ko jazba-e-shauq se ubhre to alam dekhe hain marzi-e-dost pe 'basit' jo mita den khud ko aise jaanbaz zara hum ne bhi kam dekhe hain