ye kis ne aatish-e-ehsas ko hawa di hai ki meri ruh mein ek aag si laga di hai asir-e-lazzat-e-duniya hua to aap hua mujhe numud ki khwahish ne ye saza di hai main aise lamhon ko kya nam dun ki jab main ne khud apne aap ko shiddat se baddua di hai nadamaten mere mazi se kar rahi hain sawal wo mah-o-sal ki daulat kahan luta di hai ajib tarah ki wo dastan hai hum ne jise kahin se yaad rakhi hai kahin bhula di hai ai rah-rawan-e-rah-e-shauq khauf hai kaisa jo raste mein thi diwar wo gira di hai