fikr-e-besh-o-kam nahin unki raza ke samne

fikr-e-besh-o-kam nahin un ki raza ke samne
ye mujhe taslim hai arz-o-sama ke samne

jo talab-na-ashna ho ma-siwa ke samne
hath phailati hai duniya us gada ke samne

ye kamal-e-jazb-e-dil meri nazar se dur tha
aap khud aa jaenge parda utha ke samne

sochna padta hai kyun bebas hun kyun majbur hun
main sar-e-aghaz-o-fikr-o-intiha ke samne

wo to kahiye mera dil aamaj-gah-e-shauq hai
warna kaun aata hai tere be-khata ke samne

kya bataun meri gharqabi mein kis ka hath tha
nakhuda ko pesh hona hai khuda ke samne

tut jaega tililsm-e-rasti-o-rahbari
main agar aaina rakh dun rahnuma ke samne

ai zamir-e-zinda mere har-qadam par ehtisab
nama-e-amal jaega khuda ke samne

aandhiyan un ko bujha den aandhiyon ki kya majal
main ne wo shamen jalai hain hawa ke samne

shiddat-e-ehsas-e-tauba ka wo aalam hai 'uruj'
jam mere samne hai main khuda ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close