mujh se mukhlis tha na waqif mere jazbaat se tha us ka rishta to faqat apne mafadat se tha ab jo bichhda hai to kya roen judai pe teri yahi andesha hamein pahli mulaqat se tha dil ke bujhne ka hawaon se gila kya karna ye diya naza ke aalam mein to kal raat se tha markaz-e-shahr mein rahne pe musir thi khilqat aur main wabasta tere dil ke mazafat se tha main kharabon ka makin aur talluq mera tere nate kabhi khwabon ke mahallat se tha lab-kushai pe khula us ke sukhan se iflas kitna aarasta wo atlas-o-banat se tha