ehtiyatan use chhua nahin hai aadmi hai koi khuda nahin hai dasht mein aate jate rahte hain ye hamare liye naya nahin hai tum samajhte ho nakhuda khud ko tum pe dariya abhi khula nahin hai jis ka hal sochne mein waqt lage wo mohabbat hai masala nahin hai bagh par sher kahne walon ka ek misra hara-bhara nahin hai ret hi ret hai tah-e-dariya yani sahra abhi mera nahin hai aao chalte hain ab khala ki taraf sun rahe hain wahan khala nahin hai