kisi ki yaad ka saya tha ya ki jhonka tha mere qarib se ho kar koi to guzra tha ajab tilism tha us shahr mein bhi ai logo palak jhapakte hi apna jo tha paraya tha mujhe khabar ho jo apni to tum ko likh bhejun abhi to dhund raha hun wo ghar jo mera tha kisi ne mud ke na dekha kisi ne dad na di lahuluhan labon par mere bhi naghma tha main bach ke jata to kis samt kis jagah ki mujhe kahin zamin ne kahin aasman ne ghera tha zara pukar ke dekhun na un dayaron mein mera khayal hai ek shakhs mera apna tha mahak lahu ki thi ya tere pairahan ki thi mere badan se hayula sa ek lipta tha udas ghadiyo zara ye pata to de jao kahan gaya wo khushi ka jo ek lamha tha