gulon ke chehra-e-rangin pe wo nikhaar nahin bahaar aai magar aalam-e-bahaar nahin jo hath aata hai daman to chhod deta hun junun-nawaz abhi mausam-e-bahaar nahin kisi ki yaad ka aalam na puchhiye mujh se kabhi qarar hai dil ko kabhi qarar nahin ye bankpan ye ada ye shabab ka aalam tum aa gae to kisi ka ab intizar nahin bahaar par bhi khizan hi ka rang ghaalib hai hawa zamane ki gulshan ko sazgar nahin hamare samne wo hain kahin ye khwab na ho ab apni aankhon pe bhi hum ko eatibar nahin khud aa gae hain simat kar nigah mein jalwe visal-e-dost hai ye ranj-e-intizar nahin mera mazaq udata hai aaina lekin meri haqiqat-e-gham us pe aashkar nahin hamari aabla-pai ka faiz kya kahiye wo kaun sa hai bayaban jo lala-zar nahin buton ko puj raha hai tere tasawwur mein gunah kar ke bhi 'faizi' gunahgar nahin