ek aag dekhta tha aur jal raha tha main wo sham aai magar hath mal raha tha main ye umr kaise guzari bas itna yaad hai ab udas raat ke sahra pe chal raha tha main bas ek zid thi so khud ko tabah karta raha nasib us ke ki phir bhi sambhal raha tha main bhari thi us ne rag-o-pai mein barf ki thandak so ek barf ki surat pighal raha tha main khuda-sifat tha wo lamha ki jis mein gum ho kar zamin se aasman ke dukh badal raha tha main main ek ahd tha ek ahd ki alamat tha hazar chehron mein din raat dhal raha tha main bas ek abr ke sae ne aa liya mujh ko azab odh ke ghar se nikal raha tha main