pesh jo aaya sar-e-sahil-e-shab batlaya mauj-e-gham ko bhi magar mauj-e-tarab batlaya hai batane ki koi chiz bhala nam-o-nasab hum ne puchha na kabhi nam-o-nasab batlaya rang mahfil ka ajab ho gaya jis dam us ne khamushi ko bhi meri husn-e-talab batlaya dil ko duniya se sarokar kabhi tha hi nahin aankh ne bhi magar is rukh ko ajab batlaya ye udasi ka sabab puchhne wale 'ajmal' kya karenge jo udasi ka sabab batlaya