sada-o-saz ka jahan bana ke dekhte hain hum nai ghazal ka qafiya utha ke dekhte hain hum wo jin ki muddaton se aai khair ki khabar nahin unhen kanar-e-dasht-e-jaan mein ja ke dekhte hain hum qayam dil ke faiz se hain ek dil mein kar chuke nazar jo ab raqib se mila ke dekhte hain hum hain qarya qarya dhup mein jhulas gae to kya hua saubaton ko zist ki hara ke dekhte hain hum kisi pe haalat-e-dil-e-tabah khul nahin sake nazar zamin se na yun utha ke dekhte hain hum mizaj-ashnaiyon ki fursaten na lao tum karam-nawaziyon ko ab gira ke dekhte hain hum buland mauj ko sada hai aa ke naw gher le ki hausle zara se nakhuda ke dekhte hain hum