main chup raha ki zahr yahi mujh ko ras tha wo sang-e-lafz phenk ke kitna udas tha aksar meri qaba pe hansi aa gai jise kal mil gaya to wo bhi darida-libas tha main dhundhta tha dur khalaon mein ek jism chehron ka ek hujum mere aas-pas tha tum khush the pattharon ko khuda jaan ke magar mujh ko yaqin hai wo tumhaara qayas tha bakhsha hai jis ne ruh ko zakhmon ka pairahan 'mohsin' wo shakhs kitna tabiat-shanas tha