pesh har ahd ko ek tegh ka imkan kyun hai har naya daur nae khauf mein ghaltan kyun hai shahr ke shahr hi behosh pade puchhte hain zindagi apne amal-daron se nalan kyun hai aaina aks moattal to nahin karta kabhi itna be-ab magar aaina-e-jaan kyun hai phir se matlub-e-khalaiq hai gawahi koi bar-sar-e-koh-e-siyah shola-e-larzan kyun hai ye amal hai khas-o-khashak ki chhidrai ka rang-e-rangin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai