ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha arbab-e-wafa mein koi itna bhi nahin tha lab jalte hain mai-khwaron ke sine nahin jalte is darja khunuk shoala-e-mina bhi nahin tha ek us ka taghaful hai wo yaad aa hi gaya hai ek wada-e-farda hai wo bhula bhi nahin tha kah sakte to ahwal-e-jahan tum se hi kahte tum se to kisi baat ka parda bhi nahin tha ab husn pe khud us ka tasawwur bhi giran hai pahle to giran khwab-e-zulekha bhi nahin tha pahle meri wahshat ke ye andaz bhi kam the pahle mujhe andaza-e-sahra bhi nahin tha ab ye hai ki thamta hua dariya hai teri yaad be-faiz ye dariya kabhi aisa bhi nahin tha achchha to murawwat hi tera bosa-e-lab hai achchha ye koi dil ka taqaza bhi nahin tha majnun ke siwa kis se uthi minnat-e-didar aakhir rukh-e-laila tha tamasha bhi nahin tha