ek khwab-e-atishin ka wo mahram sa rah gaya diwar-o-dar mein shoala-e-barham sa rah gaya sher-e-watan ke pyale pe thin kal ziyafaten aaya jo ta-ba-lab to faqat sam sa rah gaya mana wafa barae-wafa ittifaq thi tum sa raha koi na koi hum sa rah gaya ek la-talluqi ki faza darmiyan rahi jab do dilon mein farq bahut kam sa rah gaya us sarw-qad ki tab-o-mulaem-rukhi ka raaz isyan ki shab mein dida-e-pur-nam sa rah gaya aakhir hui bahaar magar rang-e-gul ka khwab dil mein dua nigah mein shabnam sa rah gaya ek us ke rang-e-rukh ki junun-saz chhut se is zindagi mein khwab ka aalam sa rah gaya