ek ajab wahshat se dil sinon mein be-kal ho gae chand kya nikla khushi se log pagal ho gae dhup se sahme parindon ko aman milti nahin sakhti-e-mahr-e-khizan se khushk jangal ho gae rah mein chhanw zara si kar gai mujh ko kharab do ghadi rukne se mere panw bojhal ho gae ab to bharta hi nahin be-ab aainon mein rang kaun se manzar meri aankhon se ojhal ho gae be-hisi aakhir nikal aai mere gham ka ilaj barf rakhne se mere ghaw sabhi shal ho gae kya bataun bad-guman dil mein tamannaon ka haal is zamin-e-shor mein sab ped be-phal ho gae