go raat meri subh ki mahram to nahin hai suraj se tera rang-e-hina kam to nahin hai kuchh zakhm hi khaen chalo kuchh gul hi khilaen har-chand bahaaran ka ye mausam to nahin hai chahe wo kisi ka ho lahu daman-e-gul par sayyaad ye kal raat ki shabnam to nahin hai itni bhi hamein bandish-e-gham kab thi gawara parde mein teri kakul-e-pur-kham to nahin hai ab kargah-e-dahr mein lagta hai bahut dil ai dost kahin ye bhi tera gham to nahin hai sahra mein bagula bhi hai 'majruh' saba bhi hum sa koi aawara-e-alam to nahin hai