is ki surat ko dekh kar bhule hae hum bhule sar-ba-sar bhule munh ka mitha tha pet ka khota jhuti mithi si baat par bhule dekho is meri yaad ko aur wo mujh pe karta nahin nazar bhule us ke ushshaq ho gae wahshi sab ye khana-kharab ghar bhule jab faramosh o yaad bhi khele ek idhar hum tum ek udhar bhule hum faramosh ki faramoshi aur tum yaad umr bhar bhule bhule-bhatke se yan tum aa nikle nashshe mein rah kuchh magar bhule nakhl-e-ah ek chhut na phulega is ko phalta nahin samar bhule 'azfari' zor kha gae dhoka is ke zahir pe tum aphar bhule