ek ajnabi ko dil ne yagana bana liya bhuli hui thi baat fasana bana liya kya intiha-e-shauq thi didar ke liye har rahguzar ko apna thikana bana liya qaul-o-qarar-o-rasm-e-wafa kuchh na kar sake har bar us ne koi bahana bana liya ai shama tere husn-e-tajalli ka hai kamal mushtaq-e-did ko bhi diwana bana liya yak-bargi jo samna un se kahin hua tha husn-e-ittifaq bahana bana liya dastur is jahan ka nirala hai dosto dekha gharib ko to nishana bana liya 'sadiq' bhi dastan-e-wafa kya bayan karen karke baham ishaare fasana bana liya