khidmat-e-insan ki kuchh tadbir bhi kash ho is khwab ki tabir bhi be-mahaba har qadam manzil se dur panw mein ho ahd ki zanjir bhi azmat-e-rafta ki khwahish kar zarur kar use pane ki kuchh tadbir bhi hurmat-e-tauqir-e-insan kar aziz chhod de ye nafrat-o-tahqir bhi bantiye dukh-dard sathi bhi hon khush ho nai duniya ki phir tamir bhi uswa-e-khairul-bashar apnaiye thamiye ikhlas ki zanjir bhi aise insan ko mila baam-o-uruj jis ne apni zat ki taskhir ki